Bharat mahan........... ? ? ? ?

Mai nahi kahti Bharat mahan...
.
.
.
? ?  ? Kis liye
.
.
.
**********Jai shree krishna*******
********Jai ma Laxmi******
J laxmiji ki.

? ? ? Isliye aaye din nirbhaya ka balidan Diya ja rha hai,
.
? ? ? Isliye,
.
Insaniyat par se vishvash hi uthta ja rha hai,
.
? ? ? Isliye,
Manavta kahi Nazar hi nahi aa rahi,
.
.
Bharat mahan to tab hoga jab nirbhaya ka balidan band ho jaye ,

Bharat mahan ? ? ? 
Are un mata-pita se pucho jinki ungiliya pakadkar sapno ki udan vharti hai,
Bah nanhi si Kali unki nirbhaya ki balidan beti,
.
Kya koi un mata-pita ke dukha ko Kam Kar payega,
Koi nahi Kar payega,
.
.
Are bah beti bhi nahi rahti Jo Bata sake Dr. Banne ke liye usne kathinaiyo ki kitni sidiya chadi,
Kitne utar-chadaw aaye zindgi me, aadhi zindgi nikal di sangharso ka samna karte-karte tab Jake Dr. Parixha pas hone ki khabar mata-pita ko de Pai,
Tab Jake bah apna sapne pura Kar Pai,
Mai puchati
Hoon,
.
.
Kya isi din ke liye Dr. Bane har ladki,
.
.
Bhart me tumne beti ka janm liya hai, nirbhaya ka balidan to Dena hi padega,
.
?
.
Kyu aakhir ??? Band nahi ho raha aaurato par atyacharo hona,
.
.
.
Kab Tak balidaan dengi nirbhaya, thak chuki he jina chahti he nirbhaya,
Ab jina chahti hai nirbhaya
.
.
Kab Tak chalega ye karowar kab Tak ? ? ?
Kabhi dahej me jhulasna, jine ki chah rakhakar bhi aatmhatya karna, asid ka shikar,janm lene se pahle hi maut ki aagos me sula Dena, galati se janm le hi liya to aankhe bhi na kholne Dena,
.
.
.
Kisi se koi sikayat nahi...........
Sahi hai sab sahi hai galati to hum Betiyo ki hai Jo ladki ka janm le liya,
.
.
? ? ? Kahenge ? ? ? Ese hum Bharat mahan...............,
.
.
.
Na ak masum bachchi ji pa rahi hai na ak budhi ma,
.
.
.
Yesa hai,
.
Bhara mahaan...............? ? 
.
Kuch darindo ki bajah se darndgi fail gai jise rokna namumkin hai, darindgi kahi bhi ho sakti hai, hamare aas-pados me, gali me, jisse Bhai kah Kar madad mang rahe hai uske andar, Ghar ke andar chachera Bhai, sautela pita, jaha job karte ho baha ka boss,
.
.
.
Kitna saf karoge daringi ko nahi Kar Paoge, agni parixha chalti hi rahegi rukna muskil hai,
.
.
Aaj aam insaan ko nahi soch ko badalna jaruri hai
.
.
Ya fir aesi saza jise sunkar rogte khade ho jaye,
Un darindo ko fasi na dekar aankhe lauch li jaye, un hatho ko kata Jaye taki jab tak bah jiye apne gunaah ka afsos Kare,
.
Use bhi lage in hatho se mujhe bahin ki raxha karni thi,
.
.
Dusht logo ke Karan ak achche Bhai par se bhi vishvaas uth raha hai,
.
.
Hindu dharm me guru ko sarvsreshat bataya Gaya hai .........
Aur bah guru bhi neechpan se baaj nahi aa rha,
.
?????  Isliye 
.
.
.
Bharat mahan.........????????
.
.
.
Bataiye,
Kis liye kahe hum,
Bhart mahan,
.
.
Jo ma apne Beto ko ungli pakad ke chalna sikhati hai 65 barsh ki Umar me use Ghar se nikal Diya jata hai un mata-pita se unki rotiya chin li jati hai,
.
????? Isliye 
.
Bharat mahan......????
.
.
Btaiye kis liye kahe hum,
.
.
???????? 
Bharat ki har beti apne sapno ki udan vharna chahti hai lekin uske pankh Kat diye jate hai,
.
.
Fir bhi har nahi manti,
Udh hi leti hai tab daw laga Kar use hi Jala Diya jata hai,
??????
.
.kyu kahoon Mai 
Bharat mahan,
.
.
.
Un Mahapurso ko mahanta dijiye Jo Bina Matlab ke hi bahut kuch Kar gye
.
.
Are mhanta Deni hai to Bharat me manavta lao,
.
.
Ak sakti ko awala mat banao,
.
.
I'm sorry but Sach yahi hai.......
.
.
Ye Jo neta log hai na wo bhi Bina Matlab ke kisi garib ki madad nahi karte,
Aadha% to usme se bhi kat-chat Kar hi lete hai,
.
.
Is mahul me imaandari se rahna saza se Kam nahi hai,

Bat fir khas
.
.
.
65% Betiya apne khwavo ko Jala rahi hai, sirf-or-sirf beti hone ke karan.
?????
Ghuma-fira Kar bat bahi aa jati hai,
.
.
Ladki ka janm hi pap hai,
.
Mai nahi thamungi,




Kya hoga jyada- se- jyada Meri aawaj ko dawaya jayega ya fir mujhe roka jayega yahi to hota aaya hai suru se jisne aawaj uthai use mita Diya gya
Lekin
Mai
Nahi darti
Kyu daru
Aakhir kyu daru Mai khushi Khushi nirbhaya ka balidaan de doon nahi dungi,
?
??
???
Suna tum sab ne
Mai jina chahti hu
Mane bhi Bharat me aam logo ki tarh janm liya hai Mai bhi insan hu aam logo ki tarah mere bhi kuch sapne hai jinhe pura karna chahti hu, Mai jina chahti Hoon.
?
Nahi darungi,
?
Nahi rukungi,
?
Bas badti hi jaungi,
?
Mai Bharat ki beti hoon,
Ak din ye dikhalaungi
.
.
.
Khud ko nahi soch ko badlne ka kaam hai
.
.
.
Niyam-kanoon banaye ja rahe lekin soch ko badlne par jor nahi Diya ja raha,
.
.
.
.
? ?? ??? ???? ????? Kyo kahoon Mai Bharat mahan......... Jis Bharat me manavta hi nahi bachi usme mahanta kaisi
Mai nahi... Kahti Bharat mahan
?
?
?
Kyu aakhir kyu.........? kahe hum Bharat mahan
?
?
?
Jis Bharat me ak Bhai rakhi ka Matlab nahi samjhata.
Are Bhai,
Are Bhai chachera ho ya saga Bhai to Bhai hi hota hai Bhai naam pe dag to lag hi jata hai na,
.
.
.
Mai nahi kahti Bharat mahan
?
?
?
Are pita,
Are pita saga ho ya sotela pita naam to badnaam ho hi jata hai na.
.
.
.
Mai nahi kahti Bharat mahan
.
.
.
Are hadmaster,
Are hadmaster Jo pita ki Umar ka bhi ho sakta hai are Umar pita ki ho ya Bhai ki pad to guru ka hi hai guru ki kursi par baitha Kar Jo neeche gir Jaye tab vishvaas to guru  par se utha hi jata hai na,
.
.
.
Mai nahi kahti Bharat mahan
?
?
?
Are chacha are mama,
Paiso ki khatir apno ko hi mita dalte hai tab ? Khoon ke rishte to mit hi jate hai na,
.
.
.
Mai nahi kahti Bharat mahan
?
?
?
*Are* pati,
 Are pati kaisa pati aauro ke liye 7 vachano se bandhi patni or apni sagi hi aaulad ko bhula deta hai tab ????
Insaniyat par se to bharosa uth hi jata hai na*
.
.
.
Mai nahi kahti Bharat mahan
?
?
?
Are sasural,
Are sasural ??? Jaha ak bahu apnapan jatate jatate khud ko poora badal dalti hai apne sare khwabo ko Jala dalti hai Dewar,nanad, sas-sasur har rishte me apno ko khoj leti hai, bhai-bahin, mata-pita bna leti hai,
Lekin milta Kya hai ya to fande par latka Diya jata hai ya fir dahej ki aag me Jala Diya jata hai
Tab ????
Manvata ke rishto ki to Bali hi Chad jati hai na
Us bahu se pucho Jo apne sapno ko lekar sasural se naukri karne ka sochati hai
Kitni safaiya Deni padti hai use fir bhi Ghar ke hi logo ko taslli nahi hoti fir Kya us giri hui soch ke log jitna banta hai poora jor laga dete hai muhhle vhar me ak bhi Ghar nahi chodhate ghar-ghar ja - ja Kar dhidhora pit aate hai are us pagal ki Kya nauki lagegi, are badchalan hai bah, charitraheen hai uske sath-sath uske mata-pita ko bhi gira Diya jata hai,
Hi! Re samaj apne Ghar ki hi bahu-beti ko uthane nahi dete aur khaas bat padosiyo ki bahuo-betio ki tarifo ke pul bhadhe Bina rahte nahi ,
Gira hai samaj gire hai log ye nahi uthane denge bahu-betio ko kabhi,
Ab bataiye Kya ? ? ?

Ese Kya kahenge hum? ? ?
?
?
?
Nirbhaya ka balidaan hi na
?
?
?
Are samaj,
Are samaj beta aur bahu me kitna Fark karta hai beta 4 din bhi Ghar na aaye btaye  bhi na kaha hai jab marji chahe tab aaye aur yadi bahu jiske sare sapne chakna-choor ho Gaye ho zindgi maut se lad rahi ho jise rudhibadi sabhyata ki parmparao ke tale etne dawa ke rakha Diya jaise khulkar sans lene ka hak hi chin liya ho,
Mai ye nahi kahti parmparaye buri hai lekin ghade ko bhi yadi jabran bharte hi jao to wo bhi  jarurat se jyada pani Lena pasand nahi karta poora bharne ke bad bhi yadi bharte hi jao to Sara pani ghada neeche hi girayega,
.
Jaruri nahi Jo 40 sal pahle tumhare sath hua wo hi sab kuch tum bahu ke liye samet Kar rakhogi
.
.bahu Jo kisi garib mata-pita ke kaleje ka tukda Jo tum apne Ghar le aaye use beti mankar to dekho wo bahu kaise tumhari beti se badkar nahi banti,
.
.
Ak anjaan Ghar ajanabi logo me jakar bahu Kya Kar sakti hai bas ghut-ghut Kar sans le rahi ko apne mata-pita ke din hi yad aate hai 
Baise bhi koi bhi beti 20-25 sal ke zibav ko 1-2 mahino me kaise poora badal le use bhi mauka do samay ke chalte wo khud-wa- khud badal jayegi,
.
.
.
Aur jab beti thak-har Kar kuch din pihar rahne chali Jaye or fix dino se jyada rah le tab uski gair-maujudgi me pure mauhale, shahar me didhora pit Diya jata hai
Ya to fir dimag chal gya ke naam se badnaam Kar Diya jata hai ya fir uske Daman par dag laga Diya jata hai 
.
.
Ak sahansilta se bhari Hui beti ko charitraheen bna Diya jata hai
?
?
?
Ab Kya kahenge ise nirbhaya ka balidan hi na.
.
.
.
Mai nahi kahti Bharat mahan
.
.
Bharat me na manavta bachi hai na hi insaniyat.... Fir kaise kahe hum Bharat mahan ?
.
.
.
.
Mata-pita ko kabhi apni Betiya vojha nahi rahti are betia to padosiyo ko vojha lagne lagti hai betia jra si badi Kya Hui hath pile Kar do jaban beti ko Ghar me rakhna achchi bat nahi, ab mat padao Jana to aakhir paraye Ghar hi hai, kyu padai me dimag laga rahi ho beti Kar Kya logi pad-likh Kar fookna to aakhir chulha hi hai etc...........,

Mai bat unki kr rhi hu,
.
.
Agar Sahar, samaj, aas-pados, gali-choharo or 75% log.
.
.
Chalo tik hai
Kah
Hi
Deti
Hoon
.
....
Agar Betiya etani hi chubha rahi hai aankho me to fir ak kaam kyo nahi karte 
.....
..
.
Bharat se Betiyo ka namo-nishan hi khatm Kar do
.
.
.
Kab Tak jiyengi Betiya ghut-ghut kar
Marna hi chahte ho to ak bar me iailan Kar to ya to fir sab Betiyo ki katar lagakar sar dhad se alag Kar do ya fir sooli par latka do jisse desha se sahansilta hi khatm ho jaye,
.
.
.
Ghut-ghut Kar Marne se achcha ak hi bar me mar do
Hum Betiya hai na aaj nahi to Kal balidan to Dena hi hai dastur hi banta ja raha hai ye nirbhaya ke balidan ka,
.
.
Are kaise kahe hum Bharat mahan
Are mahaan to tab hoga jab
.
.
2 sal, 3 sal, 4sal, 5 sal, 8 sal, 13 sal  ki 

Masum Betiya jinhone abhi Jana hi nahi jivan kaisa hai 

In masumo par atyacharo hona band ho jaye,
Tab kahenge hum Bharat maham
.
.
.
.
Hum bhi Bharat ki hi beti hai Shan se kahna chahte hai
Bharat mahan,
.
.
Bhale hi beti hai,
Hum,
Lekin jina chahte hai
Qki hum,
Bhi
Kahana chahte hai Mera Bharat mahan.
.
.
.
.
.
Jai Jai Jai Jai ma Laxmi 
Jai Hind Jai Bharat.



Comments

Popular Posts